Monday, February 28, 2011

Faiz Ahmad Faiz says


raushan kahii.n bahaar ke imkaa.N huye to hai.n
gulashan me.n chaak cha.nd garebaa.N huye to hai.n

ab bhii Khizaa.N kaa raaj hai lekin kahii.n kahii.n
goshe rah-e-chaman me.n Gazal-Khvaa.N huye to hai.n

Thaharii huyii hai shab kii siyaahii vahii.n magar
kuchh kuchh sahar ke rang par-afshaa.N huye to hai.n

in me.n lahuu jalaa ho hamaaraa ke jaan-o-dil
mahafil me.n kuchh chiraaG farozaa.N huye to hai.n

haa.N kaj karo kulaah ke sab kuchh luTaa ke ham
ab be-niyaaz-e-gardish-e-dauraa.n huye to hai.n

ahal-e-qafas kii subah-e-chaman me.n khulegii aa.Nkh
baad-e-sabaa se vadaa-e-paimaa.N huye to hai.n

hai dasht ab abhii dasht magar Khuun-e-paa se "Faiz"
sairaab cha.nd Khaar-e-muGelaa.N huye to hai.n

Labels: ,

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home