Sunday, March 6, 2011

Ahmad Faraz says

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai 
ke ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai 

mile ko_ii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.n 
ke jaise saaraa jahaa.N raaz_daar apanaa hai 

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal 
vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai 

zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil se 
is aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai 

'Faraz' raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiije 
vo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai 

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home