Friday, July 4, 2014

Maza aagaye


mere rashk-e-qamar, tu ne pehli nazar, jab nazar se milayee , mazah aa gaya
barq si gir gayee, kaam hee kar gayee, aag aisi lagayee , mazah aa gaya

O' envy of the moon, I reached the zenith of pleasure when our eyes met,
Lightning struck and finished me, igniting an inextinguishable fire

jaam mein ghol kar, husn kee mastiyaan, chandni muskurayee, mazah aa gaya
chand ke saaye mein , ae mere saaqiya, tu ne aisi pilayee, mazah aa gaya

The moonlight smiles a cruel smile, having mixed the seductions of your beauty in my drink
You my enticer, make me drink such a wine, in the shadow of the moon, that shall be the end of me

nasha sheeshay mein angrayee laenay laga, bazm-e-rindaa mein saaghar khanaknay laga
mae-kaday pe barasnay lageen mastiyaan, jab ghata ghir ke chayee mazah aa gaya

In the company of barkeeps, when my doom yawns in its glass, 
Dark clouds abound, the bar is drenched in excitement, such stupor will bring me to death

baehijaabana woh saamne aa gaye, aur jawaani jawaani se takra gayee
aankh unki lari, yun meri aankh se, dekh kar yeh larayee, mazah aa gaya

Such climactic splendours of youth meet, when my beloved shows up unveiled
Tis a lovely battle this which our eyes engage in, when they meet

aankh mein thi haya, har mulaaqat per, surkh aarid hue wasl kee baat per
ussne sharma ke mere sawaalat pe, aisay gardann jhukayee, mazah aa gaya

My beloved blushes, upon the mention of meeting, such is the modesty in her eyes everynight
My beloved lowers her head on my questions, such timidness will take my life

sheikh saahib ka eemaan bikk hee gaya, dekh kar husn-e-saaqi pighal hee gaya
aaj se pehlay yeh kitnay maghruur thae, lutt gayee paarsayee, mazah aa gaya

Spellbound & vanqished by the beauty of my barkeep, Sheikh lost his faith
How proud & righteous was he before this, lost the piety to one fatal glance

ae fana shukr hae, aaj baad-e-fana, ussne rakhli mere pyaar kee aabruu,
apnay haathon se ussne meri qabr pe , chaadar-e-gul charhayee, mazah aa gaya

O death I'm thankful that after death, she honoured my love 
With her own hands, she spread a sheet of roses, such pleasure will kill me

Thursday, July 3, 2014

Mir taqi Mir


kaha main ne kitna hai gul ka sabaat

 

Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya.

Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya.

Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya.

Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya.

Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya. 

Faqiraana aae sadaa kar chale,
Miyaan khush raho ham dua kar chale.

Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham, 
So is ahd ko ab wafa kar chale.

Koi naumidana karte nigah,
So tum ham se munh bhi chhipa kar chale.

Bahut aarzoo thi gali ki teri, 
So yaan se lahu mein naha kar chale.

Dikhai diye yun ke bekhud kiya, 
Hamen aap se bhi juda kar chale.

Jabin sijda karte hi karte gayi, 
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.

Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.

Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.

Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.
 

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.

Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.